top of page

bol ki lab aazaad hain tere.....

  • (Asra Azal)
  • Feb 13, 2016
  • 4 min read

Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti

Nigahain Churaane Ke Din Aa Rahe Hain

======

Aayey kuchh abr, kuchh sharaab aayey Us k baad aayey jo azaab aayey

Baam-e-meena se maahtaab utray Dast-e-saaqi meiN aaftaab aayey

Har rag-e-jaaN meiN phir chiraaGhaaN ho Saamney phir wo baynaqaab aayey

Kar raha tha Gham-e-jahaaN ka hisaab Aaj tum yaad bayhisaab aayey

Jal uThay bazm-e-Ghair k darbaaN Jab bhi ham KhaanumaaN Kharaab aayey

Faiz thi raah sar basar manzil Ham jahaaN pahuNchey kaamyaab aayey

===== Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Huye Gham Aate Hain Jaise Bichhade Huye Kabe Men Sanam Aate Hain Ik Ik Kar Ke Huye Jaate Hain Tare Raushan Merii Manzil Kii Taraf Tere Qadam Ate Hai.N Raqs-E-May Tez Karo, Saaz Kii Lay Tez Karo Su-E-Maikhana Safiraan-E-Haram Ate Hain Kuch Hamin Ko Nahin Ehasan Uthane Kaa Dimaag wo To Jab Aate Hain Mail-Ba-Karam Aate Hain Aur Kuchh Der Na Guzare Shab-E-Furqat Se Kaho Dil Bhii Kam Dukhataa Hai Vo Yaad Bhii Kam Aate Hain

====

Ishq Minat Kaash E Qarar Nahe Husan Majboor E Intizaar Nahe Teri Ranjish Ki Intiha Maloom Hasrtoo Ka Meri Shumaar Nahe Zer E Lab Hy Abi Tabasum E Dost Muntashir Jalwa E Bahaar Nahe Apni Takmeel Kar Rha Ho Mein Warna Tujh Sy To Mujh Ko Pyaar Nahe Faiz Zinda Rahen Wo Hain To Sahe Kiya Hua Gar Wafa Sha'aar Nahe !(sachiiiiii)

====

Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se

Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab Apne zimey hain tera farz najaney kab se

Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se

=====

Uth Kar Tu Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar Kuch Dil Hi Janta Hai Keh Kis Dil Se Aaye Hain

=====

Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay

(most favorite) Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz” Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay

====

Kab Yaad Main Tera Sath Nahi Kb Hath Main Tera Hath Nahi Sad Shukr K Apni Raaton Main Ab Hijar Ki Koi Raat Nahi

====

one of my favorite...

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge

=====

Bahut Mila Na Mila Zindagi Se Gham Kya Hai Mata-E-Dard Baham Hai To Besh-O-Kam Kiya Hai Ham Ek Umr Se Vaaqif Hain Ab Na Samajhaao Ke Lutf Kyaa Hai Mere Meharabaan Sitam Kyaa Ha

====

Aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye, uss ke baad aaye jo azaab aaye.

Baam-e meena se mahtaab utre, dasht-e saaqi mein aaftaab aaye.

Har ragg-e khoon mein phir charaagan ho, saamne phir woh behisaab aaye.

Umar ke har waraq pe dil ki nazar, teri mehr-o wafa ke baab aaye.

Kar raha tha ghum-e jahan ka hisaab, aaj tum yaad behisaab aaye.

Na gayi tere ghum ki sardaari, dil mein yun roz inqilaab aaye.

Jal uthe bazm-e ghair ke dar-o baam, jab bhi hum khanumaan-kharaab aaye.

Iss tarah apni khamoshi goonji, goya har samt se jawaab aaye

====

Ab ke yun dil ko saza di hum ne, Uss ki har baat bhula di hum ne.

Ek ek phool bahut yaad aaya, Shakh-e gul jab woh jala di hum ne.

Aaj tak jis pe woh sharmaate hain, Baat woh kab ki bhula di hum ne.

Shehar-e jahan raakh se aabaad hua, Aag jab dil ki bujha di hum ne.

Aaj phir yaad bahut aaya woh, Aaj phir uss ko dua di hum ne.

Koi toh baat hai uss mein ‘Faiz Har khushi jis pe luta di hum ne.

==== Ham ke thehrey ajnabi itni mulaqaton ke baad

Phir banenge aashnaa, kitni madaraton ke baad

Kab nazar mai aegi be-daag sabzey ki bahar

Khoon ke dhabbey dholenge, kitni barsaton ke baad

They bohot be-dard lamhe, khatam-e-dard-e-ishq ke

Theen bohot be-mehr subhain, mehrbaan raaton ke baad

Dil to chaha, par shikast-e-dil ne mohlat hi na di

Kuch giley shikway bhi kar letey munajaton ke baad

Un se jo kehne gaye they, Faiz jaan sadqa kiye

Ankahi hi reh gaii, wo baat sab baton ke baad

====

Aap ki yaad aati rahi raat bhar, chandani dil dukhati rahi raat bhar.

.

Ek umeed se dil behalta raha, ek tammanna sataati rahi raat bhar. !!

====

one of my favorite

Dono jahaan teri muhabbat mein haar ke, Woh ja reha hai koi shab-e ghum guzaar ke.

Veeran hai mayyqada, khum-o saagar udaas hai, Tum kya gaye ki rooth gaye din bahaar ke.

Ek phursat-e gunaah mili, woh bhi chaar din Dekhe hain humne hausle parwardigaar ke.

Duniya ne teri yaad se begaana kar diya, Tujshe bhi dil-fareb hain, ghum rozgaar ke.

Bhoole se muskura toh diye they woh aaj ‘faiz Mat poochho walwale dil-e nakardaa kaar ke. !

=====

Tujh ko dekhaa toh ser-e chashm hue tujh ko chaahaa toh aur chaah na ki

tere dast-e-sitam kaa ajz nahi dil hii kaafir tha jis ne aah na kii

They shab-e hijr kaam aur bahut hum ne fikr-e dil-e tabaah na ki

Kaun qaatil bachaa hai shehar mein ‘Faiz jis se yaaron ne rasm-o raah na ki …!

====

کب ٹھہرے گا درد اے دل کب رات بسر ہوگی سنتے تھے وہ آٰؑئیں گے سنتے تھے سحر ہوگی _____________________________ آۓ تو یوں کہ جیسے ھمیشہ تھے مہرباں بھولے تو یوں کہ گویا کبھی آشنا نہ تھے ______________________________ تمہاری یاد کے جب زخم بھرنے لگتے ہیں کسی بہانے تمھیں یاد کرنے لگتے ہیں ___________________________ وہ بات سارے فسانے میں جس کا ذکرنہ تھا وہ بات ان کو بہت ناگوار گزری _____________________________ قرب کے نہ وفا کے ہوتے ہیں جھگڑے سارے انا کے ہوتے ہیں _______________________________


 
 
 

Comments


Featured Review
Tag Cloud

© 2015 : Pearl of Wisdom

  • Facebook Social Icon
  • Twitter Social Icon
  • LinkedIn Social Icon
bottom of page