top of page

Koi mila to kisi aur ki kami hui hai

  • (Asra Azal)
  • Feb 6, 2016
  • 1 min read

Koi mila to kisi aur ki kami hui hai So dil ne be-talabi ikhtiyaar ki hui hai JahaaN se dil ki taraf zindagi utarti thi Nigaah ab bhi usi baam par jami hui hai Hai intezaar use bhi tumhaari khushbu ka Hawaa gali mein bahut der se ruki hui hai Tum aagaye ho to ab aayiina bhi dekhenge Abhi abhi to nigaahoN mein raushni hui hai Hamara ilm to marhun e lauh e dil hai miyaN Kitaab e aql to bas taaq par dhari hui hai Banao saaye, haraarat badan mein jazb karo K dhoop sehn mein kab se yuNhi paRi hui hai Nahi nahi, main bahut khush raha huN tere beghair Yaqeen kar K yeh haalat abhi abhi hui hai Woh guftagoo jo meri sirf apne aap se thi Teri nigaah ko pahunchi to shairy hui hai

(By: Irfan Sattar)


 
 
 

Komentarze


Featured Review
Tag Cloud

© 2015 : Pearl of Wisdom

  • Facebook Social Icon
  • Twitter Social Icon
  • LinkedIn Social Icon
bottom of page