Search
Meri Barbaadi Ka Tamaasha
- (Asra Azal)
- Jan 3, 2016
- 1 min read
Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha Umer Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha Kaheen Na Kaheen Tou Badal Hee Jaatay Hain Silsilay Magar Mein Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha Jaanay Kiun Katraatay Hain Loog Mujhe Milne Se Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha Paani Maangtay Maangtay Mere Hont Pathar Ho Gaye Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha Be-Gunaah Tha Phir Bhi Sir Jhukaaye Howay Sitamgar Ki Sitam Ki Intehaa Dekhta Raha Umer Bhar Mohabbat Ka Kuch Yun Sila Raha Mein Ose Aur Wo Duniya Dekhta Raha Kahuunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko “Mohsin” Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha
Poet: Mohsin naqvi
Comments