Search
kuch hijaab baaqi hain...
- (Asra Azal)
- Jan 25, 2016
- 1 min read
Kuch toot gaye hain kuch khawab baaqi hain Maazi ki wafaon main kuch sarab baaqi hain Ab bhi waazai nahin hui tasveer zindagi ki Darparda ab bhi kuch naqaab baaqi hain Har sawal apni jagah joon ka toon raha Zubaan pe shikayaton ke kuch jawab baaqi hain Khali hua behte behte yaad main behta sagar Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain
Kisi ka aasmaan tareekiyon ka ujala ban gaya kahin be-rukhi ke kuch mehtaab baaqi hain Mar bhi nahin sakte ab to sukoon-e-zalim Hasrate reh jaain gi kuch hijaab baaqi hain Musalsal jal rahe aatish-e-ishq ke angaron main Parastish ke aur bhi kuch aadaab baaqi hain ...

Comments