top of page

Naya Saal---Naya Safar

  • (Asra Azal)
  • Dec 31, 2015
  • 1 min read

Har insan apni zindagi k ya to bahtreen aouqaat yad rakhta hai. ya sab se bura Waqt..

iss janey waley saal se har ek ki bahot si yadein judien hongi. beshumar khwaab.. beshumaar batein...

kuch bahot Achay logo se wasta pra...,to..

kuch bahot buray logon se bhi wasta pra hoga!

kisi k liye ye saal khushiyon se pur hoga gaya hoga.. kisi k liye ..aam sa.. kisi k liye..... bahot talkhhhh..(jesy k mera) ksii kliye bahot buraaaa.. lekin ...

waqt kabhi bhi Ek sa nahi hota.. Waqt badalta zaroor hai..

un k liye.. jo Khud aagey badh kar..apney hauslon se zindagi ka rukh modney ki salahiyat Rakhtey hain.

Himmat kabhi nahi hararni chahie..., har Andhere k baad Ek naya Ujala Zaroor hota hai... Aaiyen.. apni Yadon ko...yahan ..Dafan nahi..balkey.. Doogna kartey hain.. Yad rakhtey hain. har achay waqt ko bhi. har burey waqt ko bhi.. jo k sab ne guzara... Ek Nayi soch k saath...!

Dua hai k aane wala waqt hum sb k lye bahot c khushyiaan laye !!!(Aameen)

Asra Azal


 
 
 

Comments


Featured Review
Tag Cloud

© 2015 : Pearl of Wisdom

  • Facebook Social Icon
  • Twitter Social Icon
  • LinkedIn Social Icon
bottom of page