Mirza Ghalib --- A Poet
- (Asra Azal)
- Dec 27, 2015
- 5 min read
Today is Mirza Ghalib 218the Birth Anniversary.

Poetry of Ghalib Uncle---My Favorite
Kis Say Mehroomi E Qismat Ki Shikayat Kijeay Hum Nay Chah Tha Mar Jain So Wo B Nh Huwa
====
Gham Raha Jab Tak K Dam Raha Dam K Janay Ka Nihayat Gham Raha
====
Kahon Kis Say Mein K Kia Hei,Shab E Gham Buri Bala Hei Mujhay Kia Bura Tha Marna Agr Aik Bar Hota
===
Beniazi Had Say Guzri Banda Parwar Kab Talak Hum Kahein Gay Hal E Dil, Aap Farmain Gay,,, Kiaaaa!!!
===
Teray Waday Par Jiay Hum To Yeh Jan Jhot Jana K Khushi Say Mar Nh Jatay Gr Atbar Hota.......!!!
=====
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikley..!
===
Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikley..!
====
Har eik baat pay kehtay ho tum key ‘toh kya hai’ ? Tumhi kaho key ye andaaz-e-guftguu kya hai ?
Ragon may daurtay phirnay kay hum nahi qayal, Jab aankh hi say na tapkaa to firr lahoo kya hai
===
Sarayy raah jo unsaay nazarr mili, To naksh dil kay ubharr gayay,
Hum nazarr mila kar jhijhak gayey, Woh nazarr jhukaa kar chalay gayey ....
===
‘arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha
===
Na tha kuchh to khudaa tha, kuchh naa hota to khudaa hota, Dubayaa mujhko honay ne, na hota main toh kya hota ?
====
karne gaye the; usse taGHaaful ka ham gila kee ek hee nigaah ki bas KHaak ho gaye
====
"Tu wo zaalim hai Jo Dil mein reh kar bhi mera na ban Saka “Ghalib” Aur Dil wo kafir Jo mujh mein reh kar bhi tera hogaya…"
=====
Phir Usi Bewafa Pe Marte Hain Phir Wahi Zindagi Hamari Hai Bekhudi Besabab Nahi 'ghalib' Kuch To Hai Jis Ki Pardadari Hai
====
aah ko chaahiye ik ‘umr asar hone tak kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?
====
ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak
====
Is qadarr tora hai mujhaay uss ke be-wafaai nay "ghalib" Abb koi agarr pyar se bhi daikhaay to bikharr jata hoon mai ...
===
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar, Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin.....!!!
====
Mat poonch ki kya haal hai mera tere peeche, Tu dekh ki kya rang hai tera mere aage...
====
aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam majnooN ko bura kehti hai laila mere aage.....
====
Jaan dee, dee huee usee ki thee haq to ye hai ke haq adaa na huaa
=====
qata`a keeje na ta'alluq ham se kuchch naheeN hai to `adaavat hee sahee
====
qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?
====
haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee jisko ho deen-o-dil ‘azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?
====
woh apnee KHoo na choDenge, ham apnee waz’a kyoN badleiN ? subak_sar banke kya poocheiN ki ham se sar_giraaN kyoN ho ?
====
ye fitna aadmee ki KHaana_weeraanee ko kya kam hai ? hue tum dost jiske, dushman uska aasmaaN kyoN ho ?
====
yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat de aur dil unko, jo na de mujhko zubaaN aur
====
Hum ko maloom hai jannat ki haqeeqat, lekin Dil ke khush rakhne ko, Ghalib yeh khayal achha hai.
====
Un ke dekhe se jo aa jaati hai chehre pe raunak Wo samajhte hain ke beemar ka haal achha hai.
====
Jala hai jism jahan, dil bhi jal gaya hoga Kuredte ho jo ab rakh, justuju kya hai?
====
Kab se hoon, kya bataaun Jahaan-e-kharab mein Shab haaye hijr ko bhi rakhoon gar hisaab mein
====
Taa phir na intezaar mein neend aaye umra bhar aane ka ahad kar gaye, aaye jo khwaab mein
====
Kia Farz hai sab ko milay aik sa jawab aao na hum bhi sair karain Koh-e-Toor ki
====
Ishq ne humein nikamma kar diya Ghalib, warna aadmi they hum bade kaam ke.
====
Kaun deta hai zindagi bhar ka saath,
log toh janaaze mein bhi kandhey badalte rahte hain
=====
Jaate huye kahteu ho, Qayamat ko milenge Kya khoob, Qayamat ka hai goyaa koi din aur
====
Ishq per zor nahin, yeh woh aatish Ghalib, Ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bujhayy..
====
Udne de in parindoo ko, azad fiza me ae Ghalib ; Jo tere apne honge, wo laut aayenge kisi roz
====
Ham Wahaan Hain Jahaan Se Ham Ko Bhi Kuch Hamaari Khabar Nahin Aati Marte Hain Aarzu Main Marne Ki Maut Aati Hai Par Nahin Aati
=====
Kaabe kis muh se jaoge ghalib,
sharm tumko magar nahi ati..
=====
نہ دے نامے کو اتنا طول غالبؔ، مختصر لکھ دے کہ حسرت سنج ہوں عرضِ ستم ہائے جدائی کا
====
Inkaar Jaisi Lazzat Iqraar Mei Kaha, Badhta Hai Ishq Ghalib Uski Nahi Nahi Se
انکار میں وہ لذت، اقرار میں کہاں ہے؟ بڑھتا ہے شوق "غالب" تیرے نہیں نہیں میں.
=====
Dil He To Hei Na, Sung O Khasht Dard Say Bhr Na Aay Q? Roain Gay Ham Hazar Bar Koi Hamain Sata'ay Q?
===
ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN ‘GHalib’ ! tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota
===
Dard Ho Dil Mein Tou Dawa Kijiye. Dil Hi Jab Dard Ho Tou Kya Kijiye.
Hum Ko Faryad Karni Aati Hai. Aap Sunte Nahi Tu Kya Kijiye.
Inn Buton Ko Khuda Se Kya Matlab. Touba Touba Khuda Khuda Kijiye.
Ranj Uthane Se Bhi Khushi Ho Gi. Pehle Dil Dard-e-Aashna Kijiye.
Arz-e-Shokhi Nashat-e-Aalam Hai. Husan Ko Our Khud Numa Kijiye.
Dushmani Ho Chuki Beh Qadar Wafa. Aab Haq-e-Dosti Aada Kijiye.
Moat Aati Nahi Kahin "Ghalib". Kab Tak Afsoos Zeest Ka kijiye.
=========
Dil-e-naadaan tujhe hua kyaa hai aakhir is dard kii davaa kyaa hai
Hum hain mushtaaq aur vo bezaar yaa ilaahii ! Ye maajraa kyaa hai
Hum bhii moonh mein zabaan rakhate huun kaash puuchho ke mudda’a kyaa hai
Jab ki tujh bin nahiin ko’ii maujuud phir ye hangaamaa aey Khudaa kyaa hai
Ye parii-cheharaa log kaise hain Ghamzaa-o-ishvaa-o-adaa kyaa hai
Shikan-e-zulf-e-ambarii kyon hai nigah-e-chashm-e-suurmaa saa kyaa hai
Sabzaa-o-gul kahaan se aaye hain abr kyaa chiiz hai, havaa kyaa hai
Hum ko unse wafaa kii hai ummiid jo nahiin jaante wafaa kyaa hai
Haan bhalaa kar, teraa bhalaa hogaa aur darvesh kii sadaa kyaa hai
Jaan tum par nisaar kartaa huun main nahiin jaantaa du’aa kyaa hai
Hum ne maanaa ke kuchh nahiin “Ghalib” muft haath aaye to buraa kyaa hai
====
"Chalta rehny do "GHALIB" silsila dil-dari ka,
Ishq "DEEN" nahi hai k jo mukammal ho jae.....!!!"
====
Thikana Akharat Hy Kuch To Kr Ghalib Rawayat Hy K Kis K Gar Khali Haat Jaya Nhe Krty
====
Khulta Kisi Pe Kion Mere Dil Ka Maamla, Shairon Ke Intekhaab Ne Ruswa Kia Mujhe…
(Mirza Ghalib)
====
Continued...
Comments