top of page

Ghalib Uncle Poetry

  • (Asra Azal)
  • Dec 23, 2015
  • 1 min read

Ye Na Thi Hamari Qismat, K Visaal-E-Yaar Hota Agar Aur Jeete Rehte, Yehi Intezaar Hota

Tere Waade Par Jeye Hum, To Ye Jaan Jhoot Jana K Khushi Say Mar Na Jaate, Agar Aitbaar Hota

Rug-E-Sung Say Tapakta, Wo Lahoo K Phir Na Thumta Jese Ghum Samajh Rahay Ho, Ye Agar Sharaar Hota

Kahoon Kiss Se Main Ke Kya Hai, Shab-E-Ghum Buri Bala Hai Mujhay Kya Bura Tha Marna, Agar Aik Baar Hota

Huwe Mar K Hum Jo Rusva, Huwe Kyun Na Gharq-E-Darya Na Kabhi Janaza Uth’ta, Na Kahin Mazaar Hota

Ye Masail-E-Tasav’vuf, Ye Tera Bayan “Ghalib” Tujhay Hum Wali Samajhte, Jo Na Baada Khuwar Hota

=====

یہ نہ تھی ہماری قسمت کہ وصالِ یار ہوتا اگر اور جیتے رہتے ، یہی انتظار ہوتا

کوئی میرے دل سے پوچھے ترے تیرِ نیم کش کو یہ خلش کہاں سے ہوتی، جو جگر کے پار ہوتا

غم اگر چہ جاں گسل ہے پہ کہاں بچیں کہ دل ہے

غمِ عشق گر نہ ہوتا، غم روزگار ہوتا

مرزا اسد اللہ خان غالب


 
 
 

Commentaires


Featured Review
Tag Cloud

© 2015 : Pearl of Wisdom

  • Facebook Social Icon
  • Twitter Social Icon
  • LinkedIn Social Icon
bottom of page