Muqaddar
- silentmoments29
- Dec 23, 2015
- 1 min read
Kyun muqaddar se shikwa karte rahein, Jo kismat mein tha wohi kuchh to paya. Yeh kis mod pe aa gayi hain umeedein, Ke saya-e-manzil nazar mein na aaya. Apno ne palat ke dekha tak nahin, Ghairon ne aakar marham lagaya. Achcha hua ke yeh raaz khul hi gaya, Dil-e-nadan pe khanjar kisne chalaya.

留言