HAZRAT MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM.
- Asra Azal
- Dec 22, 2015
- 3 min read
Baazar to saja dye MILAD-E-MUSTAFA S.A.W k lye
PEGHAAM-E-MUSTAFA S.A.W kya hai......... Ye hum ne bhula dya !
بازار تو سجا دیے عشق مصطفیٰ میں پیغام مصطفیٰ کیا تھا، ہم نے بھلا دیا
Think ab0ut it !
================
Dunia Ki Har Fiza Mein Ujala RASOOL S.A.W Ka,
Ye Sari Kainaat Hai Sadqa RASOOL S.A.W Ka,
Khushboo Gulab Hai Pasina RASOOL S.A.W Ka,
AapKo Mubarak Ho Mahina RASOOL S.A.W Ka.
================
Sar Say Lay Kar Paon Tak Tanveer Hi Tanveer Hai Moan Say Bolta Hai Jaisay Quran Ki Wo Takreer Hai Hussan Mustafa (S.A.W)Ko Deekh Kar Kehti Hai Yeh Dunya Wo Mussaver Kaisa Ho Ga Jis Ki Yeh Tasveer Hai
==============
Jahan Jahan Bhi Ujala Dekhai Deta Hai, Mere Huzoor (S.A.W.W) Ka Jalwa Dekhai Deta Hai,
Yeh Aarzu Hai Waheen Jaa Ke Mera Dum Nikle, Jahan Se Gumbad-e-Khazra Dekhai Deta Hai.
==============
“Buht “Muqadds” hai Merey “Peyary “NABI” k “QADMO” ki Dhool…
Kash k is “Dhool” ka koi “Zarra meri “Qabr ki “Zeenat” ban jaye….! AaMEEN
===============
الصلاة والسلام عليك يا سيدي يا رسول الله صلى الله عليه وسلّم الصلاة والسلام عليك يا سيدي يا حبيب الله صلى الله عليه وسلّم
===============
(Important Note:
I am not a poet. I think a person become a good poet after his/her break up.
Jab ishq o muhabbat ki inteha ko pahunchta hai...aur..firaq,judayi,hijar o wisal ,ye aesy lamhaat hy ,jis se guzar kr acha khasa insan shayir ban jata hai...mostly, i observe ,breakup aur judayi k baad jo dard-e-dil shayir bayan krta hai...wah awesome, mind blowing & heart touching words hotay hai )
Aik din mein ne socha k muje different topics per likhne ki aadat hai,kyu na apni diary k aik page mein Nabi paak S.A.W ki shaan me kuch likhu...me shayir to nahi hu..is lye just kuch alfaaz he likh payi,shayad meri itni auqaat bhi nahi k in k baray me kuch bht acha likh saku..lekin phr bhi jo bhi likh saki wo bayan kr rahi hu..may be bht ziada mistake bhi ho bcz meri urdu bhi khas nahi..lekin dil ne bar bar yei kaha us Hasti kay baray mein at least apni diary mein aik page to zrur likho...then i write:
My Words for Hazrat Muhammad S.A.W
Karu to karu kis zabaan se ada Khasayil-e-Muhammad Rasool ALLAH صلى الله عليه و سلم
Alfaaz kahan se lau us Habib ALLAH ki Tareef kay lye,
Wo jo Rakhtay hain Ikhlaaq Aala
Wo jo Rakhtay hain Martabah Buland,
Wo jo Rakhtay hain Auncha Muqaam
Wo hain Rehmat-e-Do Jahan,
Wajood hai jis ka Sabab Takhleeq-e-Kayinaat
Rukh hai Jis ka Misl-e-Noor-e-Khuda
Wo jo rakhtay hain bashar mein Martabah Aala o Be-Misaal
Wo jo Rakhtay hain Sharf-e-Deedar-e-ELAHI
Wo jo Nabiyon kay hain Sardaar
Wo jo Rakhtay hain Sadgi mein Kamaal,
Wo jo Hain Sirapa-e-Rehmat
Wo jo Rakhtay hain Naram Lehja,
Chahe kre koi Karakht Sawal....,
Karu to karu kis zabaan se ada Khasayil-e-Muhammad Rasool ALLAH S.A.W
Jin ki Muhabbat hai Ibtidah
Jin ki Muhabbat hai Inehaa,
Mein hu Aik Adnaa sa Ghulaam,
Nahi hai meri itni Auqaat..........,
Karu to karu kis zabaan se ada ...
Khasayil-e-Muhammad Rasool ALLAH S.A.W,
Ae Jaan se azeez tar,Rasool Muhammad Sallalahu Alahi Wasalam,
Lau Kahan se Alfaaz,teri Shaan kay Bayaan k lye.....
Mein hu Aik Adnaa Sa Ghulaam,Nahi hai meri itni Auqaat...!!!
Qabool kar mera Salaam...
Aap صلى الله عليه و سلم peh Laakhon Karoron Darood o Salam!!!
Sallu Alahi Wa Aalihi
Sallu Alahi Wa Aalihi
Sallu Alahi Wa Aalihi
(ALLAH muaf kr dena mujh ko,agr koi urdu mistake hogayi ho,
meri urdu nai itni achi naa...)
Continued...
Comments