top of page

Zindagi...Misl-e-Khushboo

  • Asra Azal
  • Dec 13, 2015
  • 1 min read

Aks-e-khushboo hoon, bikharnay say na rokay koi Aur agar bikhar jaoon to mujh ko na samaitay koi Kaamp uth-ta hoon main yeh soch k tanhaee main Meray chehray pe tera naam na parh lay koi Jis tarah khuwaab meray ho gaye reza reza Iss tarah say na kabhi toot k bikhray koi Main to uss din say harasan hoon k jab hukam milay Khushk phoolon ko kitabon main na rakhay koi Ab to iss rah say wo shakhs guzarta bhi nahi Ab kis umeed pe darwazay say jhankay koi Koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi Dil ki galiyan bari sunsaan hain, aye koi ...!!!

Poet:Parveen Shakir

Misl-e-Zindagi


 
 
 

Comments


Featured Review
Tag Cloud

© 2015 : Pearl of Wisdom

  • Facebook Social Icon
  • Twitter Social Icon
  • LinkedIn Social Icon
bottom of page