top of page

Types of Friends (Doston ki variety)

  • Asra Azal
  • Dec 8, 2015
  • 5 min read

In my Life ,I have made alot of friends.It had been a very amazing experience that I found many varieties of friends.Some friend was really good but the insincerity of others was awesome.

With the passage of time, every new friend introduce a new category of friendship.Everyone has different point of view about friendship.

Friendship ...Dosti ki Haqeeqat ..Doston ki iqsaam !!!

Same mind..same match:

Agr hmare ideas aur mind kisi se mil jaye to bhi friendship hojati hai...aesy me aik doosry ko samajhna easy hota hai. Lekin,kabhi kabhi ye same match bhi jaan lewa hota hai.hum aglay pe trust kr raye hoty k wo b hmari trah mukhlis hoga...lekin.jb wo trust break krta hai...tou dukh inteha ka hota.

Selfie Dost

Aesy dost jo sirf selfiyon me he nazar aatay hain,aur selfie ki hadd tak dost hotay.

Matlab mein yad krne waly :

Kuch logon ki nazar mein Dost wo he hai jo un k matlab mein u kay Kaam aaye ,chahe doosry ki help wo kabhi na bhi kre...yahan matlab khatam ,wo dosti khatam krna behtar samjhtay..ya yad bhi krtey to sirf jab kaam hota.

Aesy Doston ki help mein hamesha krti k even k muje pta hota k agla banda mujh se matlab le rha...me phi yehi sochti mein bhi to Khuda ko aksar zrurat k time ziada yad krti..so that,...

Taqdeer ka dosti krwana:

Kuch dost bht sincere,sachay hoty hain, jin ko paa kr hum apni khush qismati samajhtay.jo kisi na kisi safar me hmarey dost bn jaty na chahtay huye b dosti hojati.

Tension deny waly dost:

Kuch dost bantay he sirf tension deny k lye hain.Jo dunya mein aatay he tension deny k lye hain.khud chahe jitney bhi sakoon me ho,doosron ko tease krna un ki hobby hoti hy,aur phir Ihsaan b jatlaty keh wo hmare dost hain.

Mukhlis Dost:

Aesy dost jo ap k peechey ap ki negative baat nahi krtay ,bal k negative point ko b positively describe krtay..Aesy dost jo ap k hamraaz hotay.jis pe hmain atal yakeen hota hai k hmari baaty aage nahi kre ge, Jo hum se hmarey related baatain bhi nai chupatay...jo ap ko ap ki family member ki trah protection de.

But...Alas,My Life Experience aesy dost miltay he nahi...log sirf mukhlis dost chahtey lekin mukhlis dost banna pasand nahi krtay shayad :(

Dhoka Dost:

Ye aesy dost hoty ho sirf ap ko dhoka deny kay lye dosti ka haath aage barhaatay.

Dosti aur Qurbani:

kuch log dost is lye bantay k hum un k lye sacrifices de.jitna ap qurbani do ge utni izzat barhay gi.

Mehrbaan Dost:

Aesy bhi log zindagi mein aatay,jinhain hum jantay nahi hotay..lekin,jab hum doob rahey hotay,hme aa k sahara dety ,hum sochtay k isy to hum itna jantay b nahi.

Baat baat me moonh banane waly dost:

Kuch aesy dost hmari life drama ka part hotay..choti se choti baat pe moonh bna k beth jaty...

Secret seeker dost:

Aesy dost jo hum se hmarey secret jaaney k lye dost bantay sirf..apna ap show nahi krtay..hmare raaz ki hifazat bhi nai krtey.

Bhool janay waly dost:

jo bazahir to apne ap ko best friend kehtey lekin bhool aesy jaty jesi koi neki kr rahe ho.Phir ulta shikaar krte k tum ne kon sa yad kiya ,ye bhi sochtey agla majboor ho sakta.

Ehsaan Jatlany waly Dost:

Aesy dost jo kabhi hmari help kr de to ehsaan lazmi jatlaaty k me ne tumhari help ki thi..etc etc.us k bgair help ko wo mayoob samajhtay.

Me hamesha se koshish krti k me bht majboori me kisi ko koi kaam kahu,wrna khud kru to behtar hai..mein ne apni zindagi me koi aesa dost nai dekha jis ne meri help kr k ehsaan na jatlaya ho..ye chez muje hurt krti...kyu k me try krti kisi ko ehsaan na he jatlayoon jb tk bht he complex situation na aajaye.

Naraaz dost:

Jo bilawja he naraaz rehtey hain even k hme pta he nahi hota wo naraaz hai..tobah aesy dost!!!

Irritate honay waly dost:

jo kisi se bht jald irritate ho jatay hai.jo phir new dost ki talash me rehte hy..lekin aik khas waqt k baad us se bhi irritate ho jatay..

Bewaqoof Dost:

jo bazahir to dil k achy hotay..lekin un ki choti c bewaqoofi ap k lye museebat khari kr dety hain

Me, As a Friend

kisi dost ki museebat me help krna meri first preference hoti hai chahe wo mere sath insincere he kyu na ho.

Jis insaan se help lu usy kabhi nahi bhoolti,ehsaan yad rakhti,chahe wo baad me dushman b ban jaye.

..

jo log dhoka detay un se b aik new lesson learn krti..k future me help mil sakay.

Aesy dost jin ko bht value deti hu,un ki galat baat pe gussa jaldi aajata hai.j(may be it is wrong, but ye burayi hai mujh me.I admit.)

Jab kabhi feel krti k koi mujh se irritate horaha hai,me khud us se peeche hatne ko koshish krti hu.(negative point in me)

jo meri help nai krta,koshish krti dobara us se help na mangu,lekin us ki zrurat k time help krti if possible.

Jo dost mujh se sharing nahi krtay, aik stage me aa k me apni sharing bhi un se krna band kr deti hu..

sometime, saamne wala ka behavior dekh k wesi hojati..if he/she dont care,why shoul i care ??? (That is negative point in me)

sometime,mein dosti k lye limit set kr leti hu k in limits mein rahu k baad me hurt na hu.

Jab bht tension me hoti ya depression me hoti,to kisi se baat nahi krti,tab akelay rehna prefer krti..shayad tab me ulajh rahi hoti hu apni zaat k sath.(a little bit negative point)

Boys k sath friendship jayaz nahi...jab zrurat pre to help le leti..and study related help bht sincere ho k deti un ko...just kaam ki hadd tk relation rakhti..may be wo muje selfish and proudy bhi call krte ho.i don't care.but jitna relation rakhna chahie honesty & sincerety ki base pe hona chahie.

Jab dosti bojh lagne lge tou kam kam he milti phir aesy doston se.

Sometime,me feel krti k mein bht buri hu...muje achy logon or doston k darmiyan se chle jana chahie...shayad mein deserve na krti hu unhain... but is soch mein mers fault bhi nai itna bcz aesa log he feel kraty muje..(positive + negative point)

mein mostly khamoshi ikhtyar kr leti jb koi dost hurt kre,lekin is ka jawab bhi ulta milta,log ye nahi samajhtey k hum ne hurt kiya hy.bal k ye shikwa krtay k me bhula bethe n ignore kr rayi.

phir yehi baat banti hai na...

Sitam ki hadd hai k sitamgar udas huye...!!!

Who is Real Friend?

ALLAH wo wahid sahaara hain jis ki support k bagair zindagi impossible hai.Dost bht se bantay hai.But,ALLAH wo zaat hai jo hmara trust break nahi krta..wo har waqt hmaray liye available rehta...hum khuda ko bhool jatay,lekin wo hamain kabhi bhi nahi bhoolta.

ALLAH hamari galtiyaan aur gunah muaaf farma deta,lekin pta nahi hum insan itne azeem kyu nahi bantay...aksar yei sochti k koi aesa dost bhi ho sktajo hmari galtiyon k bawajood hmara hamesha sath de mukhlis dost ban k...

Continued......

 
 
 

Comments


Featured Review
Tag Cloud

© 2015 : Pearl of Wisdom

  • Facebook Social Icon
  • Twitter Social Icon
  • LinkedIn Social Icon
bottom of page