top of page

Zindagi ki Haqeeqat (Journey of Life)

  • Asra Azal
  • Dec 7, 2015
  • 2 min read
Zindagi ka Safar
jis tarhan pani ki khususiyat "pani ki lehrain" hai,

isi tarhan "zindagi" ki khususiat bhi lehar ki tarhan utaar charhao hai..

kabhi apnay maksad k safar main "waqti kamiabi" aur kabhi "waqti nakami"

Wasif Ali wasif sahib zindagi k baray meiN kuch youN bayan kartay haiN ..... zindagi aik maidan e kaar zaar hai, aik jalwa gaah jahaN se khareedar guzarta hai, woh khareedari karta hai, aur us ka sarmaya khatam hojata hai aur phir khareedari bhi dhari ki dhari reh jati hai. aur woh khali haath wapis loTta hae khareedar atay haiN aur jatay haiN lekin ronaq e bazaar qaim rehti hai. zindagi aik samandar hae jis ka sirf aik kinara nazar ata hai is k doosra kinaray ki kisi ko khabar nahi. zindagi kab se hai aur kab tak hae kisi ko khabar nahi . takhleeq se pehlay yeh khaliq k iraday meiN zinda thi aur takmeel k baad khaliq k ru ba ru paish kar di jayegi .zindagi zamanay khati hai phir bhi zinda rehti hai . agar zindagi ko musalsal safar kaha jaye to mukamal qayaam kiya hai ? agar zindagi ko bedari kaha jaye to nend aur ghaflat kiya hai, aur agar zindagi ko mohabbat kaha jaye to nafrat kiya hai ? jab k nafrat to zindagi ko zyada mutaharik rakhti hai. zindagi ki tareef karna bohat mushkil hae jis ne is raaz ko pa liya woh mar gaya aur jo raaz na pasaka woh maara gaya. agar zindagi fana hai to baqa kiya hai ? baqa ALLAH pak ki zaat hai lekin woh fana ko takhleeq karta hai, aur us se mohabbat bhi karta hai. agar insaan ne fana hona hi hai to kyuN na apni manzil ki raah meiN fana ho . manzil ki talash hi usay bandagi sikhati hai. jis tarah aik muslim aur momin meiN farq hota hai isi tarah insaan aur banday meiN bhi farq hota hai. bas jis ne apnay Khaliq ko paliya wohi baqa meiN agaya k qatra qulzam se milkar hi baqa pata hai

(WasifAli Wasif Sahib)

zindagi ko mapnay ka paimaana kiya hai ?

Nikala mujh ko jannat se faraib e zindagi dekar diya phir shoq jannat ka yeh heraani nahi jati.

In my Views,

Zindagi aik imtehan gaah hy..Qadam qadam pe aik naya imtehan khara hmara intezar kr rha hota hai.Zindagi aik aazmayish hai.Kabhi kabhi hum imtehan ko kush qadamon ki musafit se tay kr lety hain aur kabhi kabhi chal chal manzil ki talash me paon zakhmi hojaty hain.

Maut aaye ke sakoon kee sa'at aayi hai

Saans tooti hai ke sadiyon ke thakan tooti hai

Aik din zindagi khatam honi hai...Zindagi ka safar khatam hona hain.

Naghma haye ghum ko bhee ai dil ghaneemat jaanyee

Be sada ho jaye ga saazay hasti aik din.

lekin,us k baad..moat k baad ki zindagi aik naya imtehan hogi.

Zindagi Haqeeqat Mein Kia Hai?
Different Views but Meaningful
  • zindagi, zindah dili ka naam hai

  • hai zindagi ka maqsad aurouN k kaam aanaa

  • zindagi naam hai mar mar k jiyeh jaanay ka

  • zindagi bay bandagi, sharmindagi

  • Zindagi bas aik imtehan hai,aik saans hai.

Zindagi ki Haqeeqat


 
 
 

Comments


Featured Review
Tag Cloud

© 2015 : Pearl of Wisdom

  • Facebook Social Icon
  • Twitter Social Icon
  • LinkedIn Social Icon
bottom of page